Jamate Ahle Sunnat Karnataka Branch Gulbarga

0

Alhamdulillah 06/03/2019 Jamate Ahle Sunnat Karnataka Ki Subai Aur Zili Zimmedaran Ki Aham Nashist Shahar Gulbarga Shareef Hazrath Taqaddus Maab Dr Khusro Husaini Sahab Qibla Sajjada Nasheen Dargah Hazrath Sayedna Khwaja Bandanawaz Gulbarga Shareef Ki Sadarat Me Munaqid Hui Ummato Millat Ke Kai Ek Aham Masail Par Guftagu Hui.

Fazilat Maab Hazrat Dr Shaikh Shah Muhammad Afzaloddin Junedi Almaroof Siraj Baba Sahab Qibla Sajjada Nasheen Bargah Hazrath Shaikhe Deccan Rahmatullah Alai Gulbarga,

Hazrath Mufti Muhammad Ali Kazi Misbahi Sahab Bangalore,

Hazrath Moulana Sayed Qazi Shamshoddin Sahab Qazie Shahar Harihar, Hazrath Moulana Muhammad Muhamid Siddiqi Sahab Qazie Shahar Ballary, Hazrath Moulana Mustafa Kamal Sahab Gangavati, Hazrath Moulana Alhaj Niyaz Alam Shaikh Qadri Sahab Hubli, Hazrath Moulana Mufti Qasim Bukhari Sahab Gulbarga, Ne Hazreen Se Tameere Ahle Sunnat, Tamire Millat, Tamire Mulk Ke Hawale Se Khitab Farmaya.Nashist Me Moujood Mashaikh, Ulma Wa Aaimae Masajid Zilla Gulbarga Ne Moujud Ulamae Karam Wa Mashaikhe Uzzam Ko Agah Kiya Ke Shahar Me Uthne Wale Qadiyani Lanati Fitne Se Shahar Gulbarga Wa Atraf Ka Mahol Kharab Se Kharab Tar Horaha Hai Sabne Iski Sakht Alfaz Me Mazammat Ki.


Aur Hazrath Moulana Alhaj Sayed Muhammad Tanveer Hashmi Sahab Qibla Sadar Jamate Ahle Sunnat Karnataka Ne Farmaya Ke Ye Hamare Aapasi Ikhtalafat Wa Tang Nazri Dushmanoun Ke Sar Uthane Ka Sabab Ban Raha Hai Ham Tamam Ko Muttahid Hokar Aese Islam Dushman Anasir Ki Sarkubi Karne Ki Zaroorat Hai Aur Insha Allah Ankarib Riyasati Satahpar Khatme Nabuwwat Ki Bedari Muhim Chalaenge. Zaroorat Padhne Par Qanooni Tariqe Se Bhi Fitnae Qadiyaniyat Se Muqabla Karenge Insha Allah. Zila Gulbarga Wa Atraf Se Aaye Hue Mashaikh Wa Ulamae Karam Ne Har Tarah Se Jamate Ahle Sunnat Karnataka Ko Mazboot Karne Ka Tayaqqun Dilaya.

Leave A Reply

This website uses cookies to improve your experience. We'll assume you're ok with this, but you can opt-out if you wish. Accept Read More

Privacy & Cookies Policy